Na jane kitne kavi aur shayar likh gaye har tarah ka ishq
Par humne apne jaisa ishq na kahin padha, na kahin dekha,
Ye Na to bewafa hai Na ektarfa,
Na adhura hai Na hi mukkamal,
Na ikraar hua kabhi Na hi inkaar,
Na pana chahta hai unhe, Na hi khone se darta hai,
Na saath hai Na door..... Na paas hai Na hi majboor
Itna khoobsurat ehsaas hai ki
Shabdon ke pinjre me kabhi giraftar hua hi nahi
Aur itna aazad hai ki
Shayaron ki kalam ka kabhi mohtaaz hua hi nahi!
💞💞💞💞
No comments:
Post a Comment