Friday, April 6, 2007

Tanhayi...

Kash kuch waqt humne aapke sath gujara hota,

to is tanhayi ko humse shikayat na hoti, 

is kadar is haseen manjar me mohabbat ki kabhi ruswayi na hoti. 

Aayi hai badi intzar ke baad patjhad ke baad ye bahar,

kaliyan phooln me badal rahi hain, 

hariyali har aangan me chha rahi hai, 

bas meri aankhe dekh rahin hain apne priyatam ki aas.. 

Aey humsafar, mujhe yaad hai wo meri hi berukhi thi, 

tune to di thi aawaz bahut, 

maine hi ansuni ki thi. 

us waqt mere kadam jo ruk jate, 

to na hoti ye doori na hi ye fasle, 

socha bhi na tha maine ki tum itne yaad aaoge ki 

har pal, har ghadi labon pe naam tumhara hoga, 

kabhi jo palkein band hui to inme chehra bhi tumhara hoga. 

kash pyar ki is gahrayi ko us waqt samajh pate 

to is kadar aaz bekrari na hoti,

is haseen manjar me mere sath bhi apne priytam ke pyar ki sawari hoti.. 

-Rimjhim

2 comments:

OP said...

hi just gone through ur webpage
nice poems

keep it up

Rimjhim said...

thnx op.. :)

Scribble!

How do you manage to carry Millions of mysteries in your eyes, Unfolding each one of them, Feels like life is better than a dream.. How do y...