Friday, April 6, 2007

Lamhein...

Gujarte huye is safar me chand lamhein hi to hain, 

jinme hum muskurate hain khwabon me banayi tasveer ko manchahe rango se sajate hain.

Chandni ki god me beeta kal dohrate hain.. 

Ye masti bhare kuch pal hi to hain Jinme hum kabhi ruthte to kabhi manate hain 

aur sawan ki rimjhim barkha me kuch naye nagme gungunate hain.. 

Inhi hanssen lamho ko lafjon me pirokar pyar bhari kahani banayi hai 

sochti hun, inhe dekhkar mahsoos hoga jaise apni pyar bhari jindgani laut aayi hai. :) 

-Rimjhim

No comments:

Scribble!

How do you manage to carry Millions of mysteries in your eyes, Unfolding each one of them, Feels like life is better than a dream.. How do y...