Sunday, May 13, 2007

prem pukar- 2

Apne sampoorn saundarya ke sath aaya rituraz hai
Surya ki kirnon me bhi mridulta ka vaas hai

Vijay ki dudunbhi,chahun or hai baz rahi
Samast srishti harsh se aahladit ho rahi

Matayein pulkit ho rahin, ramniyon ne kiya singar
Athkheliyan kar rahin pawan,chha raha hai nabh pe raas

Vatavaran gunjit ho raha swtantrata ke gaan se
Bhumi gadgad ho rahi veeron ke balidaan se

Sainya-bal ke har yoddha ka, ho chukka hai aagman
Aapki anupasthiti se, vismit hain mere nayan

Kisi anisht ki aashanka se, man karta inkar hai
Hain beet chuke kai diwas kintu ab bhi intzaar hai

Nain banzar ho chale, ashru barf se jam gaye
Mujhe is dasha me chhod ke, kis lok me aap rah gaye

Ab sahan hota nahi, samaye ka ye kutharaghat
Hota pratit mujhko ye, mrityu hai ab apariharya

Lekar darshnon ki abhilasha, kar rahi hun main prayan
Prarthna hai ye meri, sada mile aapke hridya me sthan

Aapka astitva mere pranon ka aadhar hai
Paun har jeewan me ye charan raz, yahi prem pukar hai……


-rimjhim

No comments:

Scribble!

How do you manage to carry Millions of mysteries in your eyes, Unfolding each one of them, Feels like life is better than a dream.. How do y...