Friday, April 6, 2007

Prem Pukar

Dedicated to Akshaya sir.....

Ashrudhara se meri aapka abhishek hai
Aapke har ek vachan pe aaz mujhko garv hai

Komal hridya ki vedna hai ashruon me bah rahi
Aapke prasthan se, main hun vichlit ho rahi

Aap hain aaradhya mere, aapse astitva mera
Kintu aashankaon se man hai bhaybhit ho raha

Gunj raha hai har disha me aapka hi sinhnaad
Shatru se hai bhay nahi, kahin mitr na den chhod sath

Veeron ki bhanti hum sada hi, sar uthakar hain jiye
Aapke is shorye ne anginat ripu hain khade kiye

Gyat hai mujhe, aapko meri vyatha ka bhan hai
Har swas me aapke priye, bas mera hi naam hai

Ja rahe hain aap to, laut ke aana jarur
Aatur rahenge ye nayan, prateeksha ke liye pushp

Dayitva aur kartvya ke prati aapka jo moh hai
Mujhko nahi tanik bhi is baat par kshobh hai

Dhanya hai ye matribhumi, jisne diye hain aise veer
Aur dhanya hai mera jeevan, paakar aapka saanidhya

Mere ye ashru hain, meri preet aur bhay ka praman
Aapki kartvyanishtha ko mera shat shat pranam

Prem hai “akshya” jagat me, prem se sansar hai
Vijayi hon har run me aap, bas yahi prem pukar hai.

-Rimjhim

No comments:

In a Parellel Universe!

With a glass of red wine in my hand My eyes travelled across the hall, Only to be stopped by a pair of another deep eyes, I was forced to pa...